Saturday, June 04, 2011

Ek Mulaaqat

Woh aaye hain aaj khwaboun main mere
Khauf hai kahin yeh bhikhar na jaaye...
Aarzoun ko aaj khoob tasalli mili hai
Yeh lamhaa itni jaldi guzar na jaaye..

Abtarii sa haal hai khayaloun ka mere
Tum aaye ho toh kuch inki taabiir ho jaaye...
Do char baatein keh dena mohabbat bhari
Beete dinoun ka aalam mukarrar ho jaaye...

Ek katra aansoun ka beh gaya aakhoun se mere
Dekho woh kahin rooth na jaayein...
Muskura leti houn zara sa main
Haalaat mere be-pardah na ho jaaye...

Vasl ki ummeed liye baithe hain hum
Intezaar main yunhi zamaana guzar na jaaye...
Uzr na banana jaane ka tum koi
Furqat main yeh dil tabaah na ho jaaye...

Jashn-e-ishq mana lene do aaj
Yeh jannat sa mahool kahin kho na jaaye....
Ranj-o-gam main lautna to laazim hai dost
Is raat ki phir koi subaah na ho jaaye...

0 Comments:

Post a Comment

<< Home