Sunday, January 08, 2006

aae behti hawa....

Aae behti hawa
chal le chal mujhe wahan..
jahan dil,dil se mile
khwaboun ke gulshan khilein
dil ki galiyon se
aazaad ho jaye woh chahatein
woh gumsum hansi..
woh jigar ki aarzoo
jahan ho sake dil-e-karar se guftagu..
jahan seene ko cheerti huyi
dil ki aawaaz
ja pahunche un kaano tak
jahan jaane ko the yeh bekaraar
aae behti hawa
chal le chal mujhe...

chal le chal mujhe
un bahoon ke kareeb
ki main unse gale miloun..
unki dhadkanoun ko mahsoos karoun
aur unke kano main
dil ke baat kahoun..
jahan mere khwab
ja pahunche un aakhoun tak
jahan jaane ko the yeh pagal..
aae behti hawa
chal le chal mujhe..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home